WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

ChanDNagaR - Topics
Create Your Own App Store

* ChanDNagaR > Topics


Subject: Khat Ba'naam Ahmed Nadeem Qasm
Replies: 0 Views: 374

sajjad85 13.04.10 - 06:31pm
Khat Ba'naam Ahmed Nadeem Qasmi
April 14, 1977
Bradaram Qasmi Sahib,
Aanay kay baad aaj khat likh raha hoon. Darasal jab bhee koi mushkil waqt aata hay aap kee mohabbat kee yaad aati hay. Aaj phir aap kee duaon or naik tamannaon kee zaroorat hay.
Khiyal yeh tha keh pakistan main mera jo elaaj howa, woh kafi rahay ga or yahan maamla mehaz check-up ka ho ga laikin yahan kay doctoron nay jo mashhoor-e-zamana mahir is marz kay hain, mukhtalif test waghaira karnay kay baad keh dia keh tumhara operation ho ga or tumhari talli yani Spleen nikalni ho gee. yeh operation bhee april main hona tha laikin main heelay bahanay kar kay taal gaya. Ab doosri tareekh 19 april dee hay jis kay liyey 17 ko dakhil-e-haspatal hon ga. Yani is khat kay milnay tak main wahan hon ga. sab kuch theek raha tau do haftay main ti day dain gay laikin talli nikaal kar apnay paas hee rakhain gay. Baqya umer is kay beghair hee guzray gee. Suna hay ghussa bhee talli kay baaes aaya karta hay, yeh na rahay gee tau ghussa bhee na rahay gaa. Ab yeh faisla karna mushkil hay keh yeh achi baat ho gee ya nahi, kabhi kabhi tau ghussa aana hee chahey.
Operation ka maamla doston ko maloom hay laikin ghar waalon say khufya rakha hay keh nahaq pareshan hon gay, biwi bachay or chottay bhai Riaz ko 22 ko london aana tha, ab main nay likh bheja hay keh filhaal sardi hay, May key pehlay haftay main aao. Qudratan yeh jee bhee chahta hay keh operation kay moqay per jo kafi bara operation hota hay, yeh log qareeb hon, phir sochta hoon, unko kyun mubtalay-e-fikar karoon. Apna gum khud kyun na khaoon. yeh log meri madad kya kar saktay hain---- pus yeh itlaa bhee aap tak.
woh fanoon aaya keh nahi jis main meri nazam shamil honi thee, aaj risala kitab aaya, jis main fanoon kay do shumaron per reviewhain, Janay in main woh shumara bhee hay keh nahi. Aap mere naam ka parcha Riaz kay patay per yani khawatin digest, urdu bazar,karachi kee maarfat bhej dain taakeh woh saath laita aaye. Agarcha yeh bhi chahta hoon keh is nazam per in logon ki nazar na paray, pas behtar yeh hay keh na bhejiya ya aam daak say bhej dijiyey, patah:
IBNE INSHA O.S.D EMBASSY OF PAKISTAN. LONDON, S.W.I.
Aay kaash aap yahan aayen or mere saath thehrain. Aap ka
Ibn'e Insha *


* Reply
* ChanDNagaR Forum


Search:
topics replies


* ChanDNagaR

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store